Wednesday, 29 January 2014

Kitnay Majboor Howe Ana Ka Hathoo


Kitnay Majboor Howe Ana Ka Hathoo

Reza Reza Bhi Howe Or Bikhray Bhi Nahi
 Contribute: M-NaWaZ
03213020912
www.mnawazpoetry.blogspot.com/

Tunay Ishq Kia Hai

Khamosh Reh , Tanha Beth , Yaad Ker Usko

Tunay Ishq Kia Hai , Gunah Choota Nahi Tera
Contribute: M-NaWaZ
03213020912
www.mnawazpoetry.blogspot.com/

Meri Khamoshiyoun Ka Raaz

Meri Khamoshiyoun Ka Raaz Mujhey Khud Nahi Maloom

Najanay Kyoun Log Mujhey Maghroor Samajhtay Hain

Contribute: M-NaWaZ
03213020912
www.mnawazpoetry.blogspot.com/

Tuesday, 28 January 2014

Har Baar Mere Saamne Aati Rahi Ho Tum,

Har Baar Mere Saamne Aati Rahi Ho Tum,
Har Baar Tum Se Mil Ke Bichhadta Raha Hoon Main,
Tum Kaun Ho Ye Khud Bhi Nahi Jaanti Ho Tum,
Main Kaun Hoon Ye Khud Bhi Nahi Jaanta Hoon Main,
Tum Mujh Ko Jaan Kar Hi Padi Ho Azaab Mein,
Aur Iss Tarah Khud Apni Saza Ban Gaya Hoon Main .
Poet : Jaun Elia
Contribute: M-NaWaZ
03213020912
www.mnawazpoetry.blogspot.com/

NaYa Ik Rishta Peda Q Karen Ham

Naya Ik Rishta Peda Q Karen Ham ..? Bicharna He To Jhagra Q Karen Ham..?
Khamoshi Se Ada Ho Rasm e Doori Koi Hangama Barpa … Q Karen Ham..?
Ye Kafi He K Ham Dushman Nahen Hain Wafa Dari Ka Daawa Q Karen Ham..?
Wafa, Ikhlas, Qurbani … Muhabbat Ab In Lafzon Ka Pecha Q Karen Ham..?
Hain Baashinde Isi Basti Ke Ham Bhi So Khud Par Bhi Bharosa Q Karen Ham
Hamari Hi Tamanna Q Karo Tum ..? Tumhari Hi Tamanna Q Karen Ham..?
Nahi Dunya Ko Parwaa Jab Hamaari To Phr Dunya Ki Parwa Q Karen Ham..?
Kia Tha Ehd Jab Lamhon Me Ham Ne To Saari Umr Aefa Q Karen Ham ..?

Poet : Jaun Elia
Contribute: M-NaWaZ
03213020912
www.mnawazpoetry.blogspot.com/

Sunday, 26 January 2014

Kal Hamesha ki Tarah Us Ne Kaha Yeh Phone Par ...


Kal Hamesha ki tarah us nay kaha yeh phone par ...

Main bohot masroof hoon, mujh ko bohot sey kaam hain ...

Is liye tum aao milney, mai to aa sakti nahi ...

Har riwaayat torr kar is baar main ne keh diya ...

Tum jo ho masroof to main bhi bohot masroof hoon ...

Tum agar ghamgeen ho, main bhi bohot ranjoor hoon ...

Tum thakan sey choor to main bhi thakan sey choor hoon ...

Jaan-e-man hai waqt mera bhi bohot hi qeemti ...

Kuch puraanay doston nay milnay aana hai abhi ...

Main bhi ab farigh nahi, mujh ko bhi laakhon kaam hain ...

Warna kehney ko to sab lamhey tumhare naam hain ...

Meri Aankhein bhi bohat bojhal hain, sona hai mujhe ...

Ratjago'n k baad ab neendon main khona hai mujhe ...

Main lahoo apni anaaon ka baha sakta nahi ...

Tum nahi aateen to milney main bhi aa sakta nahi ...

Us ko yeh keh ke WASI main nay receiver rakh diya ...

Aur phir apni anaa k paaoon pay sar rakh diya ...

Poet : Wasi Shah
Contribute: M-NaWaZ
03213020912
www.mnawazpoetry.blogspot.com/

Kitni Zulfein Khuleen Kitnay Aanchal Urray ? Chand Ko Kiya Khabar ?

Kitni Zulfein Khuleen Kitnay Aanchal Urray ? Chand Ko Kiya Khabar

Kitna Maatam Hua Kitnay Aansu Bahay ? Chand Ko Kiya Khabar

Muddaton Us Ki Khuwahish Mein Chaltay Rahey Haath Aata Nahi

Chah Mein Is Ki Pairon Mein Hain Aablay ! Chand Ko Kiya Khabar

Wo Jo Nikla Nahi To Bhataktay Rahey Hain Musafir Kai

Aur Lut'tay Rahey Hain Kai Qaafilay ! Chand Ko Kiya Khabar

Wo To Apni Nagri Mein Madhosh Hai Kab Say Khamosh Hai

Kon Raja Bana Kitnay Syed Lutey ? Chand Ko Kiya Khabar

Is Ko Daawa Bohot Meethe-Pan Ka Wasi Chandni Se Kaho

Is Ki Kiranon Se Kitne Hi Ghar Jal Gaye Chand Ko Kiya Khabar ...

Poet : Wasi Shah
Contribute: M-NaWaZ
03213020912
www.mnawazpoetry.blogspot.com/

Kal Ajab Saniha Sa Hua Rait Par

Kal Ajab Saniha Sa Hua Rait Par
Naam Tera Nahi Likh Saka Rait Par

Kis Ki Awaz Se Tham Gaye Hain Qadam
Phir Se Kis Ne Mujhe Di Sada Rait Par

Us Ki Aankhon Se Sholay Nikalte Rahe
Naachti Reh Gai Kal Ghata Rait Par

Tu Ne Jo Bhi Hawa Se Kaha Reh Gaya
Mit Gaya Mai Ne Jo Bhi Likha Rait Par

Ab Yeh Sehra Hi Tere Muqaddar Mai Hain
Tu Ne Maangi Hi Kiyu Thi Dua Rait Par

Ek Shola Utha Us Jaga Se WASI,
Mera Aansu Jahan Gir Gaya Rait Par ...

Poet : Wasi Shah
Contribute: M-NaWaZ
03213020912
www.mnawazpoetry.blogspot.com/

Jaan-e- Jaana Tum Kehti TheeN (Poem)

Jaan - e - Jaana
Tum Kehti TheeN,
Jaanu Aap ! Mere Bachche Ho,
Mujh Ko Aisa Lagta Hai
Tum Orrh Ke Mere Lahoo Ko
Mere Badan Mein Soye Rehay Ho
Meri Rooh Ka Nasha Pee Kar
Mere Andar Khoye Rehay Ho
Mere Jism Ka Hi Hissa Ho

Jaan - e - Jaana
Tum To Kehti TheeN,
Jaanu Aap Mere Bachche Ho
Lekin Aise
Jis Ko Main Aanchal Ke Goshon Mein To
Chhupa Kar Rakh Sakti Hoon
Jis Ko Aankh Ki Putli Mein PinhaaN To Kar Sakti Hoon
Is Bachche Ko
Jaanu ! Aap Ko
Duniya Ki Nazron Mein Lana Mumkin Nahi
Bara Kat'thin Hai
Is Dharti Ki Zalim Rasmein
Sab Jhagre Aur Sabhi Masaa'il
Kab Tasleem Nahi Hain Mujh Ko
Lekin Jaana
Ye Batlao
Kya Koi Maa
Apne Bachche Ko Sardi Mein
Khuli Hawa Mein Veeraan Sarak Par
Raat Ki Bheegi Tanhai Mein
Sun-Sun Karti Hui Hawa Ke JhoNkoN Ke Maqtal Mein
Chor Ke Tanha
Manzil Wali Roshan Raah Par Chal Sakti Hai
Kya Koi Maa
Aisa Bhi Kar Sakti Hai
Lekin Tum Ne Yehi Kiya Hai
Jaan - e - Jaana ...

Poet : Wasi Shah
Contribute: M-NaWaZ
03213020912
www.mnawazpoetry.blogspot.com/

AAJ YOON MAUSAM NE DI JASHAN-E-MOHABBAT KI KHABAR ...

AAJ YOON MAUSAM NE DI JASHAN-E-MOHABBAT KI KHABAR,

PHOOT PHOOT K RONE LAGE HAIN, MAIN, MOHABBAT AUR TUM,

HUM NE JOONHI KAR LIYA MEHSOOS MANZIL HAI QAREEB,

RAASTE KHONE LAGE HAIN, MAIN, MOHABBAT AUR TUM,

CHAAND KI KIRNON NE HUM KO IS TARHA BOSA DIYA,

DEVTA HONE LAGE HAIN, MAIN, MOHABBAT AUR TUM,

AAJ PHIR MEHROOMIYON KI DAASTAANEIN OURRH KAR,

KHUWAAB MEIN SONE LAGE HAIN, MAIN, MOHABBAT AUR TUM,

KHO GAYE, AWAAZ BHI, ANDAAZ BHI, ALFAAZ BHI,

KHAMOSHI DHOONDNE LAGE HAIN, MAIN, MOHABBAT AUR TUM ...

POET : WASI SHAH
Contribute: M-NaWaZ
03213020912
www.mnawazpoetry.blogspot.com/

Mujh Ko Maaloom Hai Tum Badal Jao Gey Ja Ke Pardes Mein ...

Mujh Ko Maaloom Hai Tum Badal Jao Gey Ja Ke Pardes Mein,

Chahaton ki haddon se nikal jao gey ja k pardes mein,

Raakh ho jaye gi qurbaton mein mehakti hui zindagi,

Hijar ki aag mein tum pigal jao gay ja k pardes mein,

Sab ko bhoolo gay par apne bachon ki jab tum ko yaad aaye gi,

Khud bhi bachun ki soorat machal jao gay ja k pardes main.

Apni pehchan ko khawahishoon k sumandar main gar kho diya,

Dastaanon mein phir tum bhi dhal jao gay ja k pardes main.

Ain mumkin hai jab tum wahan jao tu aur barh jayein dukh,

Kis ne tum se kaha hai behal jao gay ja k pardes main.

Ye bata don tumhen sardiyan Aag barsayen gi us jaga,

Soch lo ab bhi tum, warna jal jao gay ja k pardes main.

Tum pe yoon hath daalein gi tanhayian aik waqt aaye ga,

koi aahat b ho gi dehal jao gay ja k pardes mein ...

Poet : Wasi Shah
Contribute: M-NaWaZ
03213020912
www.mnawazpoetry.blogspot.com/

Hazaaron Dukh Parein Sehna Mohabbat Mar Nahi Sakti ...

Hazaaron Dukh Parein Sehna Mohabbat Mar Nahi Sakti,

Hai Tum Se Bas Yehi Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Tera Har Baar Mere Khat Ko Parhna Or Ro Dena,

Mera Har Baar Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Kia Tha Hum Ne Kempas Ki Nadi Pe Ikk Haseen Wada,

Bhalay Hum Ko Parey Marna Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Jahan Main Jab Talak Panchi Chehaktey Urtey Phirtey Hain,

Hai Jab Tak Phool Ka Khilna Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Puraney Ahad Ko Jab Zinda Karne Ka Khyaal Aaye,

Mujhy Bas Itna Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti.
Woh Tera Hajar Ki Shab Phone Rakhne Se Zara Pehley,

Buhat Rotey Hooye Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Agar Hum Hasrton Ki Qabar Main Hi Dafan Ho Jayen,

To Ye Katboon Pe Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Puraaney Raabton Ko Phir Se Naye Wade Ki Khwahish Hai,

Zara Ikk Baar Tu Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Gaye Lamhaat Fursat Ke Kahan Se Doond Ker Laoon

Wo Pehroon Haath Per Likhna Mohabbat Mar Nahi Sakti ...

Poet : Wasi Shah
Contribute: M-NaWaZ
03213020912
www.mnawazpoetry.blogspot.com/

Yaad Aaon Ga ...


Tum Meri Aankh K Tewer Na Bhoola Pao Gay,
Unkahi Baat Ko Samjho Gay to Yaad Aaon Ga,

Hum Nay Khushiyon Ki Tarah Dukh Bhi Akathay Dekhe,
Safha-e-Zeest Ko Palto Gay To Yaad Aaon Ga,

Is Judai Main Tum Ander Say Bikhar Jao Gay,
Kisi Mazoor Ko Dekho Gay To Yaad Aaon Ga,

Isi Andaz Main Hotay Thay Mukhatib Mujh Say,
Khat Kisi Or Ko Likho Gay To Yaad Aaon Ga,

Meri Khusboo Tumhein Kholey Gi Gulabon Ki Tarah,
Tum Agar Khud Say Na Bolo Ge to Yaad Aaon Ga,

Sard Raaton K Mahektey Huey Sannaaton Mein,
Jab Kisi Phool Ko Choomo Gay To Yaad Aaon Ga,


Aaj To Mehfil-e-Yaran Pay Ho Maghroor Bohat,
Jab Kabhi Toot K Bikhro Gay To Yaad Aaon Ga,

Ab To Ye Ashq Main Honton Say Chura Leta Hoon,
Hath Say Khud Inhein Poncho Gay To Yaad Aaon Ga,

Shaal Pehnaaye Ka Ab Kon December Main Tumhein,
Barishon Main Kabhi Bheego Gay To Yaad Aaon Ga,

Haadsey Aayein Gay Jeewan Main To Tum Ho Gay Nidhaal,
Kisi Deewaar Ko Thamo Gay To Yaad Aaon Ga,

Is Main Shamil Hai Mere Bakht Ki Tareeki Bhi,
Tum Siyah Rang Jo Pehno Gay To Yaad Aaon Ga ...

Poet : Wasi Shah
Contribute: M-NaWaZ
03213020912
www.mnawazpoetry.blogspot.com/
 

Teri Jabeen Pe Likha Tha K Tu Bhula De Ga

Teri Jabeen Pe Likha Tha K Tu Bhula De Ga.

So Main Bhi Bhaanp Gaya Tha K Tu Bhula De Ga.

Har Ik Shakhs Se Larrta Raha Main Tere Liye.

Har Ik Ne Mujh Se Kaha Tha K Tu Bhula De Ga.

Ye Teri Aankhon Pe Halke Se Par Gaye Kaise ?

Mujhe To Tu Ne Kaha Tha K Tu Bhula De Ga.

Nikaal Laya Hai Ilzaam Phir Puraany Tu.

Ye Hum Ne Tay Bhi Kiya Tha K Tu Bhula De Ga.

Kuch Is Liye Bhi K Ik Till Tha Teri Aankhon Mein.

Mujhe Tu Tab Bhi Pata Tha K Tu Bhula De Ga ...

Poet : Wasi Shah
Contribute: M-NaWaZ
03213020912
www.mnawazpoetry.blogspot.com/
 

Tumhein Jana Ijazat Hai

Tumhein Jana Ijazat Hai
Ke In Tareek Raahon Per
Thakkan Si Khud Mein Pao To
Andheron Se Kabhi Dil Dol Jaye
Thakk Si Jao To
Mere Jalte Hue Lamhon
Mere Kangaal Hathon Se Chhora Ke Apne Hathon Ko
Fiza Ki Nagmagi Se Tum Naey Geet Chun Lena
Haseen Pulkon Ki Nokon Per Naey Kuch Khuwab Bun Lena
Koi Agar Poochh Le Mera To Us Se Zikr Mat Karna
Mere Jeewan Ki Jalti Dopehar Se Begarz Ho Ker
Tum Apni Chandni Raaton Mein Jugnu Palti Rehna
Meri Tunhaiyon Ki Wehshat Ki Fikr Mat Karna
Tumhein Iski Ijazat Hai
Mere Sab Khut Jula Dena
Mere Tohfon Ko Darya Mein Baha Dena,
Duba Dena
Tumhein Bilkul Ijazat Hai
Ke Jab Chaho Bhula Dena
Magar Itni Guzarish Hai
Agar Aisa Na Ho Jana
To Acha Hai ...

Poet : Wasi Shah
Contribute: M-NaWaZ
03213020912
www.mnawazpoetry.blogspot.com/
 

Kabhi Jo Hum Nahi Hon Ge

Kabhi Jo Hum Nahi Hon Ge,
Kaho Kis Ko Bataao Ge ?
Wo Apni Uljahnain Sari,
Wo Becheni Mein Doobe Pal,
Wo Aankhon Mein Chupe Aansu,
Kise Phir Tum Dikhao Ye,
Kabhi Jo Hum Nahi Hoon Ge,
Bohat Bechain Ho Ge Tum,
Bohat Tunha Reh Jao Ge,
Abhi Bhi Tum Nahi Sumjhe,
Hamari An-Kahi Baatein,
Mager Jab Yaad Aayen Ge,
Bohat Tum Ko Rulayen Ge,
Bohat Chaho Ge Phir Bhi Tum,
Humein Na Dhoond Pao Ge,
Kabhi Jo Hum Nahi Hoon Ge ...

Poet : Wasi Shah
 
Contribute: M-NaWaZ
03213020912
www.mnawazpoetry.blogspot.com/
 

Tarras Jaao Gy Humary

"Tarras Jaao Gy Humary Labon Se Sun'nay Ko Ik Ik Lafz ,,
"ae DosT"
Piyar Ki Baat To Kia Ham Shikaayat Bhi Na Karain Gay ..

Rooth Jaty Ho To Kuch

Rooth Jaty Ho To Kuch Oor B Haseen Lagty Ho ,
"Ae Dil"
Hum Ny Kuch Soch Kr hi Tum Ko Khafa Rakha He ..

Chor Do Kisi Ki

Chor Do Kisi Ki Wafa Ki Aas Krna ,,
"DoSt"
Jo Rula Sakte hen Wo Bhula B Sakte Hain ,,

Ab jo Bichray hain to ehsaa

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain

Char su gunjti ruswai kisay kehtay hain

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

Koi lamha ho teri yaad mai kho jatay hain

Ab to khud ko bhe muyassar nahi aaa patay hain

Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain

Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

Woh jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay

aik saath hum mil ker raha kertey thay

Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain

Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain

Ab Jo bichray to ehsaas hua hai hum ko

Hum Nay khud apni raahon mai bichaye kantay

Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay

Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain

Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai

Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai

Rastah rok kay har aik say yehi kehtay hain

Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko

Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain

Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain

Ab jo bichray to ehsaas hua hai hum ko ..
 
Contribute: M-NaWaZ
03213020912
www.mnawazpoetry.blogspot.com/

Hum Unse Mohhabbt Karte Chale

Hum Unse Mohhabbt Karte Chale Gaye,
Aur Woh Thei Ki Humari Mohabbat Ko Nazarandaaz Karte Chale Gaye

Hum Dil Ke Har Raaz Unpe Zaahir Karte Chale Gaye,
Aur Woh Thei Ki Har Baat Ko Hansi-Majak Samjhte Chale Gaye
Rafta-Rafta Hum Unke Kareeb,
Aur Woh Humse Door Hote Chale Gaye

Hum Unke Isharon Ko Unke Irade Samjhte Chale Gaye,
Unki Har Baat Ko Unki Shararat Samjhte Chale Gaye,
Aur Woh Thei Ke Apni Shararat Pe Khil-Khila Ke Hanste Chale Gaye,
Rafta-Rafta Hum Unke Kareeb,
Aur Woh Humse Door Hote Chale Gaye


Hum Unki Dosti Ko Unki Mohaabbat Samjhte Chale Gaye,
Aur Woh Thei Ki Apni Dosti Ka Vaasta De Ke Chale Gaye
Zindgi Humse Samjhute,
Aur Hum Samjhtaun Se Zindgi Jeete Chale Gaye,
Rafta-Rafta Hum Unke Kareeb,
Aur Woh Humse Door Hote Chale Gaye

Hum Unse Mohhabbt Karte Chale Gaye,
Woh Thei Ke Humari Mohabbat Ko Nazarandaaz Karte Chale Gaye

Contribute: M-NaWaZ
03213020912
www.mnawazpoetry.blogspot.com/

Shikwe Bhi Hazaron Hain Shikay


Shikwe Bhi Hazaron Hain Shikayat Bhi Bohat Hai
Is Dil Ko Magar Usse Mohabat Bhi Bohat Hai

Aa Jata Hai Milne Wo Tasawwoor Mai Hamare
Ek Shakhs Ki Itni Si Inayat Bhi Bohat Hai

Yeh Bhi Hai Tamanna Kai Use Dil Se Bhula Dein
Is Dil Ko Magar Uski Zaroorat Bhi Bohat Hai

Dekhein Tu Zara Pee Ke Hum Zehr-E-Mohabbat
Sunte Hain Kai Is Zehr Mai Lazzat Bhi Bohat Hai
Shikayat Bhi Bohat Hai
Is Dil Ko Magar Usse Mohabat Bhi Bohat Hai

Aa Jata Hai Milne Wo Tasawur Mai Hamare
Ek Shakhs Ki Itni Si Inayat Bhi Bohat Hai

Yeh Bhi Hai Tamanna Kai Use Dil Se Bhula Dein
Is Dil Ko Magar Uski Zaroorat Bhi Bohat Hai

Dekhein Tu Zara Pee Ke Hum Zehr-E-Mohabbat
Sunte Hain Kai Is Zehr Mai Lazzat Bhi Bohat Hai

Katal Ker Ke Sare-Aam

Katal Ker Ke Sare-Aam Ye Anjaan Bante Hai,

Husn Ke Ada Ye Dikha Ke Nadaan Bante Hai,


Wafao Ki Baate Jo Hamesha Karte Hai,

Wahi Dil Tod Ke Mehfil Mai Muskurate Hai,


Apne Dil Ko Jo Sheeshe Ka Kehte Hai,

Patthar MARNE Wale Bhi Wahi Hote Hai,


Bewafa Ka Naam Jo Hume De Jaate Hai,

Pehle Kyo Gerebaan Mai Apne Dekhte Nahi Hai,


Khamosh Un Ki Dunia Kabhi Hoti Nahi Hai,

Phoolon Se Gulistan Wo Apna Sajate Hai,


Khel Un Ka Samaj Nahi Aata Hai,

Phoolon Ka Tohfa Deker, Kaanto Ka Taaj Pehnana Chahte Hai

Aaeene ke Sau Tookaden, kar

aaeene ke sau tookaden, kar ke hum ne dekhe hai

yek mein bhee tanahaa the, sau mein bhee akele hai


jo banaa yek saathee, wo bhee hum se chhootaa hai

bewafaa naheen jab wo, fir kyo hum se ruthhaa hai

khoyee khoyee aakhon mein, aasuon ke mele hai


us kaa haal kyaa hogaa, yahee gam sataataa hai

nind bhee naheen aatee, dard badhataa jaataa hai

jindagee kee raahon mein, log hum se khele hai


har taraf ujaalaa hai, dil mein yek andheraa hai

saamane kab aayegaa, kyo chhupaa saweraa hai

meraa dil jigar dekho, kitane dard jhele hai

Libas Tan se Utar Dena

Libas Tan se Utar Dena

Kisi ki Banho ko Haar dena

Phir us k Jazbon ko Maar Dena

Agar Mohabat yehi ha Jana, To muaf KaRNa muje nahi ha.

Gunah KARNE ka soch lena

Haseen Pariyan daboch lena

Phir uski Ankhen hi noch lena

Agar Mohabat yehi ha Jana, To muaf KaRNa muje nahi ha.

Kisi ko lafzon ka Jaal dena

Kisi ko jazbon ki dhaal dena

Phir uski izat Uchaal dena

Agar Mohabat yehi ha Jana, To muaf KaRNa muje nahi ha.

Andhair nagri main chalte jana

Haseen kaliyan masalte jana

Or apni fitrat pe muskurana

Agar Mohabat yehi ha Jana, To muaf KaRNa muje nahi ha.

Saja raha ha har ik Dewana

Khayal e Husn o jamal Jana

Khayal kya hain Hawas ka Tana

Agar Mohabat yehi ha Jana, To muaf KaRNa muje nahi ha

Sajde kiye hai lakho L

Sajde kiye hai lakho

Lakho duayien mangi

Paya hai maine phir tujhe

Chahat ki teri maine

Haq mein hawaien mangi

Paya hai maine phir tujhe


Tujhse hi dil yeh behla

Tu jaise Kalma phela

Chaahoon na phir kyun main tujhe


Jis pal na chaha tujhko

Us pal sajayein mangi

Paya hai maine phir tujhe


Oooooo

Sajde kiye hai lakho

Lakho duyaien mangi

Paya hai maine phir tujhe


Jane tu sara woh

Dil mein jo mere ho

Padh le tu aankein har dafa


Hoo hoo

Jane tu sara woh

Dil mein jo mere ho

Padh le tu aankein har dafa

Haan

Nakhre se na jee bhi

Hoti bhi razi bhi

Tujhse hi hoti hai khafa


Jane tu baatein sari

Katte hain raatein sari

Jalti diye se unbujhe


Uth uth kar raaton ko bhi

Teri wafaien mangi

Paya hai maine phir tujhe


Ooooo

Sajde kiye hai lakho

Lakho duyaien mangi

Paya hai maine phir tujhe


Chahat ke kajal se

Kismat ke kagaj pe

Apni wafaein likh zara


Haannnnan

Chahat ke kajal se

Kismat ke kagaj pe

Apni wafaein likh zara


Bole zamana yun

Mein tere jaise hoon

Tu bhi to mujhsa dikh zara

Mera hi saya tu hai

Mujh mein samaya tu hai

Har pal yeh lagta hai mujhe


Khud ko mitaya mene

Teri balayein mangi

Paya hai phir mene tujhe


Chaha tu chahe mujhko

Aise adayein mangi

Meri Zindagi Mujhe Yeh Bata


Meri Zindagi Mujhe Yeh Bata,

Mujhe Bhool Kar Tujhe Kya Mila,

Meri Hasraton Ka Hisaab Dey,

DiL Torr Kar Tujhe Kya Mila,

Tere 4 Din Kay Pyaar Se,

Mujhe Umar Bhar Ka Ghum Mila,

Main Toot Kar Bikhar Gaya,

Mujhe Torr Kar Tujhe Kya Mila

Kia Yayy Islam Hya Hamara,Pani

Kia Yayy Islam Hya Hamara,

Pani Samnay Hay Per Ghazi Abbas Yad Atay Nahi,

Lab Sokhay Hay Per Shezadi Sakeena Yaad Atti Nahi,

Gala Sokha Hay Per Shezaday Ali Asghar Yaad Atay Nahi,

Payas Lagi Hay Per Shezaday Karballa Yaad Attay Nahi,

Sajday Kertay Hay Per Sajda Imam Yaad Atta Nahi,

Ghum Miltay hay Per Ghum-e-Hussain Yaad Ata Nahi,

Quran Pertay Hay Per Tilawat-e-Hussain Yaad Attii Nahi,

Parda Kertay Hay Hum Per Shezadya Karballa Yaad Atti Nahi,

Qafan May Lapait Ker Apno Ko Hum,

Dooor Dafna Attay Hay Per Wo Yaad Attay nahi,

Saja Ker Rakhatay Hay Apniii Aoulad Ko Hum,

Perr Shezadi Zainab,Shezadi Rubab, Sezadi Fatima,

Ki aoulad Yadd Atti nahi,Kia Yayy Islam Hay Hamara,

(Aon Muhammad Al-Qadri)

Andaz-e-Bandagi Hy Nirala

Andaz-e-Bandagi Hy

Nirala HUSSAIN A.s Ka


Sajdo'n Me Lajawab Hy

Sajda HUSSAIN A.s ka


Be-daagh Zindagi Ka Yehi

Tou Kamal Hy


Har Shaks Parh Raha Hy

Qaseeda HUSSAIN A.s Ka

Ay Dushman e HUSSAIN Muqadd

Ay Dushman e HUSSAIN Muqaddar Ki Baat Hy,

Hum Haq k Sath or Tu Baatil k Sath Hy,


Dhondo gy to Mil Jayein gy Tareekh Me Tumko,


ZEHRA Ko Rulanay Me Kis Kis Ka Hath Hy,


GHAZI k Bilmuqabil Aatay Wo Kia Laaee'n,


Di Jin k Lashkaron Ko ASGHAR Ny Maat Hy,


Bughz e ALI to Tumko Wirsay Me Hy Mila,

Jab Sy ALI Ny Tora Laat-o-Manaat Hy,


Masjid Me Naam Un k Zeenat Bana Diye,


Bughz e ALI Me Jin ki Guzri Hayaat Hy..!

Kia Kahun Qudrat Se Kia Ris


Kia Kahun Qudrat Se Kia Rishta ABU TALiB Ka Hy


Sb Ka Jø Qibla Hy Wø Kaba ABU TALiB Ka Hy


Is Kø Kafir Kehne Wale Aa Nhi Skte Idhr


Karbala Se Khuld Tk Rakba ABU TALiB Ka Hy


Bandgi Ki Srhaden Wehdaniyat Se Mil Gain


Ghar Tø Hy ALLAH Ka Beta ABU TALiB Ka Hy


Kia Juda Kr Pae Ga Køi Inhen Quran Se


Baa E Bismillah Ka Nukta B ABU TALiB Ka Hy


Kr Dia Qurban Betøn Kø Batijøn K Lye


Dil Hy ZAiNAB Ka Mgr Jazba ABU TALiB Ka Hy ..

Saturday, 25 January 2014

SaJan Pardeis Mat Jao

Sajan Pardeis Mat Jao Akele Jee Na Paon Gi,
Jab Tak Tum Lout Aao Gay main To Mar Hi jaon Gi,
Keh To Rahe Ho K Jald Aaon Ga,
Magar Main Bin Tere Na Reh Paon Gi,
Bharm Rakh Lo Meri Masoom Mohabbat Ka,
Main To Bin Tere Bikhar Kar Reh Jaon Gi,
Bin Tere Khud Ko Kaise Behlaon Gi ?
Bheer Main Bhi To Tanha Khud KO Paon Gi,
Kate Gi Na Ye Lambi Ratein Judai Ki,
Din Bhar Chup Chup K Aanso Bahaon Gi .......
 

Contribute: M-NaWaZ

03213020912

www.mnawazpoetry.blogspot.com/

Us k Narm Hathon

Us K Narm hathon Se Phisal jati Hain Cheezen ,,,
"Ay Dost"
Mera Dil Bhi Laga Hy Haath Us K 'Khuda Khair Karay ..

Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ey Jaan-e-Ghazal ...

Tu Kisi Or Ki Jageer Hai Ai Jaan-E-Ghazal !
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal !
Pehele Haq Tha Teri Chahat K Chaman Per Mera !
Pehele Haq Tha Teri Khushbu-E-Badan Per Mera !
Ab Mera Pyaar Tere Pyaar Ka Haqdar Nahi !
Main Tere Gesu-O-Rukhsar Ka Haqdar Nahi !
Ab Kisi Or K Shano Pe Hai Tera Aanchal !
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal,
Main Tere Pyaar Se Ghar Apna Basaoon Kaise ?
Main Teri Maang Sitaroon Se Sajaoon Kaise ?
Meri Qismat Mein Nahi Pyaar Ki Khushbu Shaiyad,
Mere Haathon Ki Lakeeron Mein Nahi Tu Shaiyad,
Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal,
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal,
Mujh se Kehtein Hein Ye Khamosh Nigahein Teri,
Meri Parvaaz Se Oonchi Hein Pnaahein Teri,
Or Gairat-E-Ehsaas Pe Sharminda Hoon,
Ab Kisi Or Ki Baahon Mein Hein Bahein Teri,
Ab Kahaan Mera Thikana Hai Kahaan Tera Mehal,
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal ...
 
Contribute: M-NaWaZ
03213020912
www.mnawazpoetry.blogspot.com/
 

Humein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo ...

Husn Walay Wafa Nahi Kartay,
Ishq Walay Dagha Nahi Kartay,
Zulm Karna To Inki Aadat Hai,
Yeh Kisi Ka Bhala Nahi Kartay,
Jo Nazar Aar Paar Ho Jaye,
Wohi Dil Ka Qaraar Ho Jaye,
Apni Zulfon Ka Daal Do Saya,
Teergi Khush_gawaar Ho Jaye,
Teri Nazron Ko Dekh Paye Agar,
Shaikh Bhi Mai_gusaar Ho Jaye,
Tujh Ko Daikhay Jo Ik Nazar Wo Rang,
Chand Bhi Sharam_Saar Ho Jaye,
Aaeena Apne Saamnay Say Hata,
Ye Na Ho Khud Say Pyar Ho Jaye,
Bhool Ho Jati Hai Yoon Taish Mein Aaya Na Karo,
Faaslay Khatam Karo Baat Barhaya Na Karo,
Ye Nigahein, Ye Ishaaray, Ye Adaayein Tauba,
In Sharabon Ko Sar-e-Aam Lutaya Na Karo,
Shaam Gehri Ho To Kuch Aur Haseen Hoti Hai,
Saya-e-zulf Ko Chehray Say Hataya Na Karo,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Dalo,
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo,
Na Chey'ro Humein, Hum Sataye Huey Hein,
Bohat Zakhm Seenay Pay Khaaye Huey Hein,
Sitam_Gar Ho Tum, Khoob Pehchantay Hein,
Tumhari Adaaon Ko Hum Jantay Hein,
Dagha_Baaz Ho Tum Sitam Dhaanay Walay,
Faraib-e-Mohabbat Mein Uljhanay Walay,
Ye Rangeen Kahani Tumhi Ko Mubarak,
Tumhari Jawani Tumhi Ko Mubarak,
Humari Taraf Say Nigaahein Hata Lo,
Hamein Zinda Rehnay Do Ay Husn Walo,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Daalo,
Zanjeer Mein Zulfoon Ki Phans Janay Ko Kia Kahiye,
Deewana Mera Dil Hai, Deewanay Ko Kya Kahiye,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Dalo,
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo,
Sambhalo Zara Apna Aanchal Gulabi,
Dikhao Na Hans Hans K Aankhein Sharabi,
Sulook Inka Dunya Mein Acha Nahi Hai,
Haseeno'n Pay Hum Ko Bharosa Nahi Hai,
Utha'tay Hein Nazrein To Girti Hai Bijli,
Adaa Jo Bhi Nikli, Qayamat Hi Nikli,
Jahaan Tum Nay Chehray Say Aanchal Hataya,
Waheen Ehl-e-dil Ko Tamasha Banaya,
Khuda K Liye Hum Pay Dorein Na Dalo,
Hamein Zinda Rehnay Do Ey Husn Walo,
Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo,
Aawara Hui Jaati Hein Zulfon Ko Sambhalo,
Dil Mera Ulajh Jaye Ga Yeh Jaal Na Dalo,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Dalo,
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo,
Apni Is Zulf-e-pareshaan Ko Sambhalo Warna,
Aisay Gustaakh Ko Hum Choom Liya Kartay Hain,
Uljha Hai Paaon Yaar Ka Zulf-e-daraaz Mein,
Lo Aap Apne Dam Mein Sayyad Aa Gaya,
Sada_waar Kartay Ho Tum Deg-e-jafa Ka,
Bahatay Ho Tum Khoon Ehl-e-wafa Ka,
Ye Nagan Si Zulfein, Ye Zehreeli Nazrein,
Wo Pani Na Mangay Ye Jiss Ko Bhi Das Lay,
Wo Lut Jaye Jo Tum Say Dil Ko Laga Lay,
Phiray Hasraton Ka Janaza Uthaye,
Hai Maloom Hum Ko Tumhari Haqeeqat,
Mohabbat K Parday Mein Kartay Ho Nafrat,
Kaheen Aur Ja K Adaayein Uchalo,
Humein Zinda Rehnay Do Ey Husn Walo,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Dalo,
Ye Jhooti Numaish Ye Jhooti Banaawat,
Faraib_E_Nazar Hai Nazar Ki Lagawat,
Ye Sumbal Say Gesu, Ye Aariz Gulabi,
Zamanay Milayein Gay Ik Din Kharabi,
Fana Hum Ko Kar Dena Ye Muskarana,
Adaa Kafirana Chalan Zaalimana,
Dikhao Na Ye Ishwa-o-naz Hum Ko,
Sikhao Na Ulfat K Andaaz Hum Ko,
Kisi Aur Per Zulf Ka Jaal Dalo,
Humein Zinda Rehnay Do Ey Husn Walo,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Dalo,
Apni Zulfon Ka Prudah Bana Lijiye,
Husn_e_Masoom Ab Fitna_gar Ho Gaya,
Palkein Gir Jayein Gi, Door Jal Jaye Ga,
Rukh Tumhari Nazar Ka Jidhar Ho Gaya,
Humein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo,
Humein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo ...
Contribute: M-NaWaZ
03213020912
www.mnawazpoetry.blogspot.com/

Tum Hi Ho

Hum Tere Bin Ab Reh Nahi Sakte,
     Tere Bina Kya Wajood Mere ?
Tujh Se Juda Gar Ho Jayein
To Khud Se Hi Ho Jayein Ge Judaa ...
     Kiyun Ke Tum Hi Ho ... Ab Tum Hi Ho ...
Zindagi ... Ab Tum Hi Ho ...
       Chain Bhi, Mera Dard Bhi,
Meri Aashqui Ab Tum Hi Ho ...

Tera Mera Rishta Hai Kaisa ?
Ik Pal Door Gawaara Nahi,
       Tere Liye Har Roz Hain Jeete,
Tujh Ko Diya Mera Waqt Sabhi,
Koi Lamha Mera Na Ho Tere Bina,
       Har Saans Pe Naam Tera,
Kiyun Ke Tum Hi Ho ... Ab Tum Hi Ho ...
Zindagi ... Ab Tum Hi Ho ...
       Chain Bhi, Mera Dard Bhi,
Meri Aashqui Ab Tum Hi Ho ...

Tere Liye Hi Jiya Main,
Khud Ko Jo Yoon De Diya Hai,
        Teri Wafa Ne Mujh Ko Sambhala,
Saare Ghamon Ko Dil Se Nikala,
Tere Sath Mera Hai Naseeb Jura,
         Tujhe Paa Ke Adhoora Na Raha,
Kiyun Ke Tum Hi Ho ... Ab Tum Hi Ho ...
Zindagi ... Ab Tum Hi Ho ...
      Chain Bhi, Mera Dard Bhi,
Meri Aashqui Ab Tum Hi Ho ...

Deewana Kar Raha Hai

Teri Baanhon Mein Mili,
Aisi Raahat Si Mujhe,
Ho Gai Jaan-e-Jaan,
Teri Aadat Si Mujhe,
Dekhoon Main Jab Tujh Ko To,
Tab Mera Din Ye Dhale,
Deewana Kar Raha Hai,
Tera Roop Sunehra,
Musalsal Khal Raha Hai,
Mujh Ko Ab Ye Sehra,
Bata Ab Jayein To Jayein Kahaan ?
Dard Ka Aalam Hai Har Dam,
Tere Bin O Mere Humdam,
Aankhon Mein Dikhti Hain Maayoosiyan,
Jahan Bhi Jaoon Tere Bin,
Bari Mushkil Se Guzre Din,
Chubhti Hain Dil Ko Teri Khaamoshiyan,
Raaz Gehra Jo Hai Tera,
Dar Hai Kaisa, Tu Hai Mera,
Deewana Kar Raha Hai,
Tera Roop Sunehra,
Musalsal Khal Raha Hai,
Mujh Ko Ab Ye Sehra,
Bata Ab Jayein To Jayein Kahaan ?
Dhul Gaye Dil Ke Saare Gham,
Khushi Se Aankhein Hai Ye Nam,
Zindagi Mein Tu Meri Jab Se Aa Geya,
Dil Ka Armaan Bana Hai Tu,
Meri Pehchaan Bana Hai Tu,
Saanson Mein Rooh Ban Ke Tu Samaa Geya,
Jaan Bhi Teri, Dil Bhi Tera,
Tujh Se Hai Mera Sawera,
Deewana Kar Raha Hai,
Tera Roop Sunehra,
Musalsal Khal Raha Hai,
Mujh Ko Ab Ye Sehra,
Bata Ab Jayein To Jayein Kahaan ?

Lag Ja Gale Ke Phir Ye Haseen Raat Ho Na Ho,

Lag Ja Gale Ke Phir Ye Haseen Raat Ho Na Ho,
 
Shayad Phir Is Janam Mein Mulaqaat Ho Na Ho,
 
Hum Ko Mili Hain Aaj, Ye Gharriyan Naseeb Se,
 
Jee Bhar Ke Dekh Lijiye Hum Ko Qareeb Se,
 
Phir Aap Ke Naseeb Mein Ye Baat Ho Na Ho,
 
Phir Is Janam Mein Mulaqaat Ho Na Ho,
 
Lag Ja Gale Ke Phir Ye Haseen Raat Ho Na Ho,
 
Paas Aaiye Ke Hum Nahi Aaein Ge Baar Baar,
 
 Baanhein Gale Mmein Daal Ke Hum Ro Lain Zaar Zaar,
 
Aankhon Se Phir Ye Pyar Ki Barsaat Ho Na Ho,
 
Lag Ja Gale Ke Phir Ye Haseen Raat Ho Na Ho,
 
Shayad Phir Is Janam Mein Mulaqaat Ho Na Ho ...

Jeene Laga Hoon Pehle Se Ziada Lyrics

Jeene Laga Hoon Pehle Se Ziada,
Pehle Se Ziada Tum Pe Marne Laga Hoon,
Main, Mera Dil Aur Tum Ho Yahan,
Phir Kiyun Ho Palkein Jhukaye Wahan,
Tum Sa Haseen Pehle Dekha Nahi,
Tum Is Se Pehle The Jaane Kahan,
Jeene Laga Hoon Pehle Se Ziada,
Pehle Se Ziada Tum Pe Marne Laga,
Hmmmmm ... Hoo ...
Rehte Ho Aa Ke Jo Tum Paas Mere,
Tham Jaye Pal Ye Waheen,
Bas Main Ye Sochoon,
Sochon Mein Tham Jaye Pal Ye,
Paas Mere Jab Ho Tum ... (x2)
Chalti Hain Saansein Pehle Se Ziada,
Pehle Se Ziada Dil Theharne Laga ...
Hmmmmm ... Hoo ...
Tanhaiyon Mein Tujhe Dhoonde Mera Dil,
Har Pal Ye Tujh Ko Hi Soche Bhala Kiyun ?
Tanhai Mein Dhoonde Tujhe Dil,
Har Pal Tujh Ko Soche (x2)
Milne lage Dil, Pehle Se Ziada
Pehle Se Ziada Ishq Hone Laga ...
Hmmmm ... Hoo ...

Ishq per zor nahin, yeh woh aatish Ghalib


Ishq per zor nahin, yeh woh aatish Ghalib,
Ke lagaaye na lage aur bujhaaye na bujhayy.

Thursday, 23 January 2014

Main Q Khud Usay

Main Q Khud Usay Kahon K Bat Kar Lo Mujh Se ,,

              " M Nawaz "

"Kya Usay Khabar Nahe MeRa Dil Nahe LaGta Us k Bina" ....